logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - shahid baltistani - 2012

Abbas Alamdaar

sallalaho alaika ya maula ya abul fazl al abbasadrikna be haqqal hussain alaihis salamun girya-e mohabbat har dam ba shahe abbaskarde ast huro ghilmaan maatam baraaye abbaskehti hai wafaadari wirsa hai alamdaaribedast hai phir bhi hai alambaar alamdaarabbas alamdaar abbas alamdaarsakhi abbas alamdaar abbas alamdaarsaqqa-e sakina hai mashkiza bataata haibhatke huwe logon ko manzil se milata haimaatam ke juluson me aage nazar aata haihai tera alam qaafela saalaar alamdaarabbas alamdaar abbas alamdaar sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar abbas ye tujhse hai izhaare wafaadaripaani ki sabilen ye majlis ye azaadaaritere kate shaanon ka sadqa hai mere ghaazinaukar hai tere saare azaadaar alamdaarabbas alamdaar abbas alamdaar sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar ye kaisi qayaamat hai aulaade payambar parbeghor o kafan laashe saidaniyaan be chaadarhar bibi ye kehti hai dekho to zara aakarjaate hai haram shaam ke baazaar alamdaarabbas alamdaar abbas alamdaar  sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar  abbas ka girna tha jalti  huwi reti parsarwar ki kamar tuti zainab ki giri chaadarlaashe pe nabi zaadi deti thi sada rokarmaara gaya pyason ka madadgaar alamdaarabbas alamdaar abbas alamdaar sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar yaawar ye haqiqat hai masoom bataate hainmaula ki ziyaarat ko jo qaafele aate hainjab karbobala ke wo nazdik pahonchte hainlene ke liye aate hain har baar alamdaarabbas alamdaar abbas alamdaar sakhi abbas alamdaar abbas alamdaar

HomebookmarkmybayaazSetting